shole ugal rahi hai zaban dekhte chalo
sho'le ugal rahī hai zabāñ dekhte chalo
uThne lagā diloñ se dhuāñ dekhte chalo
ye zindagī bhī kyā hai koī kārobār hai
kyā ho rahā hai sūd-o-ziyāñ dekhte chalo
sahrā-e-zindagī meñ bhaTakne kā ḳhauf hai
har naqsh-e-pā-e-pesh-e-ravāñ dekhte chalo
qismat ko tum bhī DhūñD rahe ho kahāñ kahāñ
mehnat meñ to nahīñ hai nihāñ dekhte chalo
ye jānte hue ki tumhārī ravish hai kyā
kis Dhang kā hai rang-e-jahāñ dekhte chalo
mushkil se ab ḳhulūs nazar aa.egā kahīñ
har samt hirs kā hai dhuāñ dekhte chalo
shāmil hai is makāñ meñ pasīna ġharīb kā
'ash.har' amiir kā ye makāñ dekhte chalo
sho'le ugal rahi hai zaban dekhte chalo
uThne laga dilon se dhuan dekhte chalo
ye zindagi bhi kya hai koi karobar hai
kya ho raha hai sud-o-ziyan dekhte chalo
sahra-e-zindagi mein bhaTakne ka KHauf hai
har naqsh-e-pa-e-pesh-e-rawan dekhte chalo
qismat ko tum bhi DhunD rahe ho kahan kahan
mehnat mein to nahin hai nihan dekhte chalo
ye jaante hue ki tumhaari rawish hai kya
kis Dhang ka hai rang-e-jahan dekhte chalo
mushkil se ab KHulus nazar aaega kahin
har samt hirs ka hai dhuan dekhte chalo
shamil hai is makan mein pasina gharib ka
'ashhar' amir ka ye makan dekhte chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.