sholon ki hukumat hai chaman zer-o-zabar hai
sho'loñ kī hukūmat hai chaman zer-o-zabar hai
mausam hai bahāroñ kā magar raqs-e-sharar hai
socho to har ik dil meñ haiñ nafrat ke sharāre
dekho to har ik shaḳhs baham shīr-o-shakar hai
mazlūm se hamdardiyāñ zālim se rah-o-rasm
ai chāra-gar-e-ġham tū idhar hai ki udhar hai
ghar meñ jo chhupe baiThe haiñ un ko bhī to dekho
bāhar ke harīfoñ pe to ham sab kī nazar hai
ik aañkh kī qismat ki jo aañsū hai vo paanī
ik aañkh meñ jo ashk hai mānind-e-guhar hai
ik haal pe Thahrā hai na Thahregā zamāna
har sub.h kī ik shaam hai har shab kī sahar hai
haiñ ahl-e-nazar dard kī daulat se tahī-dil
dil jis ko mayassar hai vo mahrūm-e-nazar hai
bikhre haiñ dar-o-bām pe tābinda haqā.eq
sone kā nahīñ vaqt ye hangām-e-sahar hai
sar le ke hathelī pe 'azīz' aa.eñ yahāñ log
ye rāh-e-‘azīmat hai shahādat kā safar hai
sho'lon ki hukumat hai chaman zer-o-zabar hai
mausam hai bahaaron ka magar raqs-e-sharar hai
socho to har ek dil mein hain nafrat ke sharare
dekho to har ek shaKHs baham shir-o-shakar hai
mazlum se hamdardiyan zalim se rah-o-rasm
ai chaara-gar-e-gham tu idhar hai ki udhar hai
ghar mein jo chhupe baiThe hain un ko bhi to dekho
bahar ke harifon pe to hum sab ki nazar hai
ek aankh ki qismat ki jo aansu hai wo pani
ek aankh mein jo ashk hai manind-e-guhar hai
ek haal pe Thahra hai na Thahrega zamana
har subh ki ek sham hai har shab ki sahar hai
hain ahl-e-nazar dard ki daulat se tahi-dil
dil jis ko mayassar hai wo mahrum-e-nazar hai
bikhre hain dar-o-baam pe tabinda haqaeq
sone ka nahin waqt ye hangam-e-sahar hai
sar le ke hatheli pe 'aziz' aaen yahan log
ye rah-e-‘azimat hai shahadat ka safar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.