shor-o-hangama-e-duniya se chhupa len tumko
shor-o-hangāma-e-duniyā se chhupā leñ tum ko
jī meñ aatā hai ki siine se lagā leñ tum ko
kab se is taak meñ baiThe haiñ ki ik lamha bhī
muñh udhar pher le duniyā to churā leñ tum ko
had se baḌh jaa.e agar 'ishq to hai pāgalpan
so munāsib hai ki ab ḳhud se bachā leñ tum ko
merī qismat nahīñ lekin ho amānat merī
jin kī qismat ho unheñ kahnā sañbhāleñ tum ko
ek muddat se hai ābād tumhāre dam se
dil se chāheñ bhī to ab kaise nikāleñ tum ko
shor-o-hangama-e-duniya se chhupa len tum ko
ji mein aata hai ki sine se laga len tum ko
kab se is tak mein baiThe hain ki ek lamha bhi
munh udhar pher le duniya to chura len tum ko
had se baDh jae agar 'ishq to hai pagalpan
so munasib hai ki ab KHud se bacha len tum ko
meri qismat nahin lekin ho amanat meri
jin ki qismat ho unhen kahna sanbhaalen tum ko
ek muddat se hai aabaad tumhaare dam se
dil se chahen bhi to ab kaise nikalen tum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.