shuur-e-ishq mile ru-e-dar raqs karun

Nadeem Sirsivi

shuur-e-ishq mile ru-e-dar raqs karun

Nadeem Sirsivi

MORE BYNadeem Sirsivi

  shu.ūr-e-ishq mile rū-e-dār raqs karūñ

  haiñ mere paas bahāne hazār raqs karūñ

  gulū-e-ḳhushk shah-e-rag thak ke kahtī hai

  kuchh aur tez ho ḳhanjar dhaar raqs karūñ

  tavāf-e-ḳhāna-e-dildār gar nasīb nahīñ

  ḳhud apne dil banā kar mazār raqs karūñ

  barahna jism hai kohna libās phaT gayā hai

  so oḌh kar maiñ ridā-e-ġhubār raqs karūñ

  ujaaḌ dasht meñ maqtal ye baar baar saje

  lahū meñ Duub ke maiñ baar baar raqs karūñ

  anī kuchh aur chubhā ai sitam-shi.ār ki maiñ

  taḌap ke dard meñ be-band-o-bār raqs karūñ

  duā hai merī maiñ zaḳhmoñ taab na sakūñ

  sharāb maut jaage ḳhumār raqs karūñ

  sunā chukā sar-e-neza maiñ ek taaza ġhazal

  'nadīm' hai mujhe ab iḳhtiyār raqs karūñ

  shuur-e-ishq mile ru-e-dar raqs karun

  hain mere pas bahane hazar raqs karun

  gulu-e-KHushk ki shah-e-rag thak ke kahti hai

  kuchh aur tez ho KHanjar ki dhaar raqs karun

  tawaf-e-KHana-e-dildar gar nasib nahin

  KHud apne dil ka bana kar mazar raqs karun

  barahna jism hai kohna libas phaT gaya hai

  so oDh kar main rida-e-ghubar raqs karun

  ujaD dasht mein maqtal ye bar bar saje

  lahu mein Dub ke main bar bar raqs karun

  ani kuchh aur chubha ai sitam-shiar ki main

  taDap ke dard mein be-band-o-bar raqs karun

  dua hai meri main zaKHmon ki tab la na sakun

  sharab maut ka jage KHumar raqs karun

  suna chuka sar-e-neza main ek taza ghazal

  'nadim' hai mujhe ab iKHtiyar raqs karun

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY