sine mein dam ko toDti KHwahish ka bar tha
siine meñ dam ko toḌtī ḳhvāhish kā baar thā
kyā ḳhvāb thā ki jis meñ na sabr-o-qarār thā
har haal us ke dil meñ to paḌne the aable
hastī ġhurūr kī thī anā kā shikār thā
ashkoñ kī jā lahū hī Tapaktā rahā mire
ye chashm nam nahīñ thī ye ḳhanjar kā vaar thā
hone lagā thā mujh ko to yuuñ vasl kā yaqīñ
jaise gulāb ke qarīñ lāzim vo ḳhaar thā
tā 'umr qarza apnā adā kartā hī rahā
'aslam' pe ġham kā bojh bhī to be-shumār thā
sine mein dam ko toDti KHwahish ka bar tha
kya KHwab tha ki jis mein na sabr-o-qarar tha
har haal us ke dil mein to paDne the aable
hasti ghurur ki thi ana ka shikar tha
ashkon ki ja lahu hi Tapakta raha mere
ye chashm nam nahin thi ye KHanjar ka war tha
hone laga tha mujh ko to yun wasl ka yaqin
jaise gulab ke qarin lazim wo KHar tha
ta 'umr qarza apna ada karta hi raha
'aslam' pe gham ka bojh bhi to be-shumar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.