sine mein teri yaad bahane se rah gai
siine meñ terī yaad bahāne se rah ga.ī
ḳhushbū sī koī chiiz thī aane se rah ga.ī
chhoTī sī ek baat kā afsāna ho gayā
chhoTī sī ek baat chhupāne se rah ga.ī
phir yuuñ huā ki nuur bikhartā chalā gayā
phir yuuñ huā ki raat fasāne se rah ga.ī
ik māhtāb thā jo mukammal nahīñ huā
ik raushnī thī saare zamāne se rah ga.ī
āñkhoñ meñ terī Duub ga.ī zindagī kī shaam
lekin ye zindagī jo bhulāne se rah ga.ī
sine mein teri yaad bahane se rah gai
KHushbu si koi chiz thi aane se rah gai
chhoTi si ek baat ka afsana ho gaya
chhoTi si ek baat chhupane se rah gai
phir yun hua ki nur bikharta chala gaya
phir yun hua ki raat fasane se rah gai
ek mahtab tha jo mukammal nahin hua
ek raushni thi sare zamane se rah gai
aankhon mein teri Dub gai zindagi ki sham
lekin ye zindagi jo bhulane se rah gai
- Book : Ishq (Pg. 35)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.