sirf ashkon ko pareshani rahi
sirf ashkoñ ko pareshānī rahī
ġham bayāñ karne meñ āsānī rahī
duur tak kuchh bhī nahīñ aayā nazar
der tak palkoñ pe tuġhyānī rahī
aur to sab se ta'āruf ho gayā
par tabī'at ḳhud se begānī rahī
chāñd ne chūmā nahīñ jhuk kar kabhī
muntazir paiham ye peshānī rahī
zindagī-bhar 'aql ke haamī rahe
ab samajhte haiñ ki nādānī rahī
rafta rafta ḳhud ke 'aadī ho ga.e
kuchh dinoñ tak to pareshānī rahī
haif hai us ko hī pahchānā nahīñ
'umr-bhar jis kī nigahbānī rahī
sirf ashkon ko pareshani rahi
gham bayan karne mein aasani rahi
dur tak kuchh bhi nahin aaya nazar
der tak palkon pe tughyani rahi
aur to sab se ta'aruf ho gaya
par tabi'at KHud se begani rahi
chand ne chuma nahin jhuk kar kabhi
muntazir paiham ye peshani rahi
zindagi-bhar 'aql ke hami rahe
ab samajhte hain ki nadani rahi
rafta rafta KHud ke 'adi ho gae
kuchh dinon tak to pareshani rahi
haif hai us ko hi pahchana nahin
'umr-bhar jis ki nigahbani rahi
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 28)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.