sirf bayaban bachta hum mein bilkul jangal ho jate
sirf bayābāñ bachtā ham meñ bilkul jangal ho jaate
she'r na kahte to ham shāyad ab tak pāgal ho jaate
ham ne vaqt pe jī bhar ro kar ḳhud ko tāza-dam rakkhā
aañsū andar rakkhe rahte to ham bojhal ho jaate
sunte haiñ ham tum ko chhūkar ḳhushbū aane lagtī hai
kaash hamāre shāne lagte ham bhī sandal ho jaate
tum se ham ko milnā hī thā har sūrat har hālat meñ
tum parbat ban jaate to ham jal kar bādal ho jaate
shukr hai kuchh mīnāroñ ko tum ne yak-laḳht nahīñ Dhāyā
itnī dhuul uḌī hotī sab dariyā daldal ho jaate
kaash mire misroñ se bilkul us kī āñkheñ ban jātīñ
kaash mire alfāz kisī kī aañkh kā kājal ho jaate
ḳhāliq ne saarā sarmāyā Daal diyā ik chehre meñ
itnī raunaq se to donoñ 'ālam ajmal ho jaate
sirf bayaban bachta hum mein bilkul jangal ho jate
she'r na kahte to hum shayad ab tak pagal ho jate
hum ne waqt pe ji bhar ro kar KHud ko taza-dam rakkha
aansu andar rakkhe rahte to hum bojhal ho jate
sunte hain hum tum ko chhukar KHushbu aane lagti hai
kash hamare shane lagte hum bhi sandal ho jate
tum se hum ko milna hi tha har surat har haalat mein
tum parbat ban jate to hum jal kar baadal ho jate
shukr hai kuchh minaron ko tum ne yak-laKHt nahin Dhaya
itni dhul uDi hoti sab dariya daldal ho jate
kash mere misron se bilkul us ki aankhen ban jatin
kash mere alfaz kisi ki aankh ka kajal ho jate
KHaliq ne sara sarmaya Dal diya ek chehre mein
itni raunaq se to donon 'alam ajmal ho jate
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 120)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.