Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitamgar yar ki aisi ki taisi

Anwar Sheikh

sitamgar yar ki aisi ki taisi

Anwar Sheikh

MORE BYAnwar Sheikh

    sitamgar yaar aisī taisī

    dil-e-lāchār aisī taisī

    baḌhā.e aur bhī ehsās-e-ġham jo

    ho us ġham-ḳhvār aisī taisī

    hañsī jo hāl-e-dil sun kar uḌaa.e

    ho us dildār aisī taisī

    na jis meñ kuchh ḳhulūs-o-dilrubā.ī

    ho us iqrār aisī taisī

    sanam diid bahlā.e na jis ko

    ho us bīmār aisī taisī

    na chashm-e-yār jis se DabDabā.e

    ho us iz.hār aisī taisī

    rahā jo be-ruḳhī tarjumāñ jo

    ho us me.aar aisī taisī

    kareñ gumrāh jo nām-e-ḳhudā par

    ho un aqdār aisī taisī

    nazar aa.e na jis ko juz sharārat

    dil-e-bedār aisī taisī

    agar bachche hoñ fāqoñ se bilakte

    ho us tehvār aisī taisī

    nazar aa.e jo kāñToñ bichhaunā

    ho us gulzār aisī taisī

    jo mushkil daur meñ āñkheñ churā.e

    are us yaar aisī taisī

    fan-e-ta.amīr se nā-āshnā jo

    ho us me.amār aisī taisī

    na sar dushman jo kaaTe rafīqo

    ho us talvār aisī taisī

    na jaane farq-e-āb-o-mai jo hamdam

    ho us mai-ḳhvār aisī taisī

    rulā.e har ghaḌī tujh ko jo 'anvar'

    tire us pyaar aisī taisī

    sitamgar yar ki aisi ki taisi

    dil-e-lachaar ki aisi ki taisi

    baDhae aur bhi ehsas-e-gham jo

    ho us gham-KHwar ki aisi ki taisi

    hansi jo haal-e-dil sun kar uDae

    ho us dildar ki aisi ki taisi

    na jis mein kuchh KHulus-o-dilrubai

    ho us iqrar ki aisi ki taisi

    sanam ki did bahlae na jis ko

    ho us bimar ki aisi ki taisi

    na chashm-e-yar jis se DabDabae

    ho us izhaar ki aisi ki taisi

    raha jo be-ruKHi ka tarjuman jo

    ho us mear ki aisi ki taisi

    karen gumrah jo nam-e-KHuda par

    ho un aqdar ki aisi ki taisi

    nazar aae na jis ko juz shararat

    dil-e-bedar ki aisi ki taisi

    agar bachche hon faqon se bilakte

    ho us tehwar ki aisi ki taisi

    nazar aae jo kanTon ka bichhauna

    ho us gulzar ki aisi ki taisi

    jo mushkil daur mein aankhen churae

    are us yar ki aisi ki taisi

    fan-e-tamir se na-ashna jo

    ho us meamar ki aisi ki taisi

    na sar dushman ka jo kaTe rafiqo

    ho us talwar ki aisi ki taisi

    na jaane farq-e-ab-o-mai jo hamdam

    ho us mai-KHwar ki aisi ki taisi

    rulae har ghaDi tujh ko jo 'anwar'

    tere us pyar ki aisi ki taisi

    Source:

    Nawa-e-Dil (Pg. 192)

    • Author: Anwar Sheikh
      • Publisher: M. R. Offset Press, Delhi
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now