siyah rang darichon mein bhar gaya ek shaKHs
siyāh rang darīchoñ meñ bhar gayā ik shaḳhs
abhī makān kī chhat se utar gayā ik shaḳhs
tamām shahr meñ parchhā.iyoñ kā gherā hai
ufuq kī raushniyoñ meñ bikhar gayā ik shaḳhs
badan se jhaḌtī huī raakh kā surāġh na pūchh
hamāre jism ke andar hī mar gayā ik shaḳhs
badan ḳhalā meñ mu'allaq dikhā.ī detā hai
dil-o-dimāġh pe jaadū sā kar gayā ik shaḳhs
vo abr thā to sarāboñ hī pe barastā rahā
banā jo dhuup to barbād kar gayā ik shaḳhs
phalāñg kar alam-o-yās ke nasheb-o-farāz
udāsiyoñ ke nagar se guzar gayā ik shaḳhs
kamāl ye hai ki peḌoñ kī saa.eñ saa.eñ meñ 'shād'
ḳhud apne qadmoñ kī aahaT se Dar gayā ik shaḳhs
siyah rang darichon mein bhar gaya ek shaKHs
abhi makan ki chhat se utar gaya ek shaKHs
tamam shahr mein parchhaiyon ka ghera hai
ufuq ki raushniyon mein bikhar gaya ek shaKHs
badan se jhaDti hui rakh ka suragh na puchh
hamare jism ke andar hi mar gaya ek shaKHs
badan KHala mein mu'allaq dikhai deta hai
dil-o-dimagh pe jadu sa kar gaya ek shaKHs
wo abr tha to sarabon hi pe barasta raha
bana jo dhup to barbaad kar gaya ek shaKHs
phalang kar alam-o-yas ke nasheb-o-faraaz
udasiyon ke nagar se guzar gaya ek shaKHs
kamal ye hai ki peDon ki saen saen mein 'shad'
KHud apne qadmon ki aahaT se Dar gaya ek shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.