soch kar kuchh sawalon ko hosh uD gae
soch kar kuchh savāloñ ko hosh uḌ ga.e
aur saarī kitābeñ jalā dī ga.iiñ
rang laatī bhī gar ḳhāmushī jab talak
andarūnī sadā.eñ baḌhā dī ga.iiñ
mujh ko nīñdoñ ne jab jab sahāre diye
beḌiyāñ khīñch kar khankhanā dī ga.iiñ
gir ga.ī merī jānib uThī har du'ā
mash'aleñ mere ghar kī bujhā dī ga.iiñ
merī tasvīr meñ rāste hī na the
aur uupar se āñkheñ miTā dī ga.iiñ
miT ga.e maut kī aarzū meñ jinheñ
jiite rahne kī bhar bhar du'ā dī ga.iiñ
soch kar kuchh sawalon ko hosh uD gae
aur sari kitaben jala di gain
rang lati bhi gar KHamushi jab talak
andaruni sadaen baDha di gain
mujh ko nindon ne jab jab sahaare diye
beDiyan khinch kar khankhana di gain
gir gai meri jaanib uThi har du'a
mash'alen mere ghar ki bujha di gain
meri taswir mein raste hi na the
aur upar se aankhen miTa di gain
miT gae maut ki aarzu mein jinhen
jite rahne ki bhar bhar du'a di gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.