socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge
sochā hai ki ab kār-e-masīhā na kareñge
vo ḳhuun bhī thūkegā to parvā na kareñge
is baar vo talḳhī hai ki rūThe bhī nahīñ ham
ab ke vo laḌā.ī hai ki jhagḌā na kareñge
yaañ us ke salīqe ke haiñ āsār to kyā ham
is par bhī ye kamrā tah-o-bālā na kareñge
ab naġhma-tarāzān-e-bar-āfroḳhta ai shahr
vāsoḳht kaheñge ġhazal inshā na kareñge
aisā hai ki siine meñ sulagtī haiñ ḳharāsheñ
ab saañs bhī ham leñge to achchhā na kareñge
socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge
wo KHun bhi thukega to parwa na karenge
is bar wo talKHi hai ki ruThe bhi nahin hum
ab ke wo laDai hai ki jhagDa na karenge
yan us ke saliqe ke hain aasar to kya hum
is par bhi ye kamra tah-o-baala na karenge
ab naghma-taraazan-e-bar-afroKHta ai shahr
wasoKHt kahenge ghazal insha na karenge
aisa hai ki sine mein sulagti hain KHarashen
ab sans bhi hum lenge to achchha na karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.