sochne walon ke sab afkar gunge ho gae
sochne vāloñ ke sab afkār gūñge ho ga.e
qatl merā jab huā aḳhbār gūñge ho ga.e
jis ne bhī likkhā amīr-e-shahr ko mujrim yahāñ
us kahānī ke sabhī kirdār gūñge ho ga.e
us qabīle se baġhāvat kis tarah kartā koī
us jagah to māhir-e-guftār gūñge ho ga.e
us kī siskī kī gavāhī ghar kī har ik shai ne dī
merī chīḳhoñ par dar-o-dīvār gūñge ho ga.e
ek din us ne kahā 'mānī' sunā koī ġhazal
kyā batā.ūñ yaar sab ash'ār gūñge ho ga.e
sochne walon ke sab afkar gunge ho gae
qatl mera jab hua aKHbar gunge ho gae
jis ne bhi likkha amir-e-shahr ko mujrim yahan
us kahani ke sabhi kirdar gunge ho gae
us qabile se baghawat kis tarah karta koi
us jagah to mahir-e-guftar gunge ho gae
us ki siski ki gawahi ghar ki har ek shai ne di
meri chiKHon par dar-o-diwar gunge ho gae
ek din us ne kaha 'mani' suna koi ghazal
kya bataun yar sab ash'ar gunge ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.