sochta to main bhi hun guftar apni rok lun
sochtā to maiñ bhī huuñ guftār apnī rok luuñ
par ye mumkin hī nahīñ raftār apnī rok luuñ
koī kah de haq-parastī kā taqāzā hai yahī
sāmne bātil ho aur talvār apnī rok luuñ
tujh se luuñ apnī zabūñ-hālī kā phir ik ik hisāb
pahle girne se zarā dastār apnī rok luuñ
ḳhud hī ho jā.egī qaa.em pyaar ulfat kī fazā
bas zarā ik aapsī takrār apnī rok luuñ
TuuT jaa.e us kā ik pal meñ jama-ḳhorī kā ḳhvāb
kuchh dinoñ tak maiñ jo paidāvār apnī rok luuñ
māl-o-zar jāh-o-hasham sab ko to ruḳhsat kar diyā
aa tujhe ai ġhairat-e-fankār apnī rok luuñ
sochta to main bhi hun guftar apni rok lun
par ye mumkin hi nahin raftar apni rok lun
koi kah de haq-parasti ka taqaza hai yahi
samne baatil ho aur talwar apni rok lun
tujh se lun apni zabun-haali ka phir ek ek hisab
pahle girne se zara dastar apni rok lun
KHud hi ho jaegi qaem pyar ulfat ki faza
bas zara ek aapsi takrar apni rok lun
TuT jae us ka ek pal mein jama-KHori ka KHwab
kuchh dinon tak main jo paidawar apni rok lun
mal-o-zar jah-o-hasham sab ko to ruKHsat kar diya
aa tujhe ai ghairat-e-fankar apni rok lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.