sochte hain ki dil lagane den
sochte haiñ ki dil lagāne deñ
ḳhud ko kuchh din fareb khāne deñ
jī lagā.eñ kahīñ kisī shai par
ḳhud ko ḳhud se najāt paane deñ
shab ke hāthoñ meñ sauñp deñ ḳhud ko
aur añdheroñ ko gul khilāne deñ
dil to sāda-mizāj hai apnā
māntā hai to maan jaane deñ
ḳhud ko sāhil pe chhoḌ deñ tanhā
ret par naqsh-e-pā banāne deñ
aa ke sargoshiyāñ kare ham se
us ko itnā qarīb aane deñ
gul kareñ ḳhvāb ke charāġhoñ ko
chāñd tāroñ ko niiñd aane deñ
sochte hain ki dil lagane den
KHud ko kuchh din fareb khane den
ji lagaen kahin kisi shai par
KHud ko KHud se najat pane den
shab ke hathon mein saunp den KHud ko
aur andheron ko gul khilane den
dil to sada-mizaj hai apna
manta hai to man jaane den
KHud ko sahil pe chhoD den tanha
ret par naqsh-e-pa banane den
aa ke sargoshiyan kare hum se
us ko itna qarib aane den
gul karen KHwab ke charaghon ko
chand taron ko nind aane den
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 97)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.