Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh hai parda tere chehre se haT jaane ka nam

Najma Jafari

subh hai parda tere chehre se haT jaane ka nam

Najma Jafari

MORE BYNajma Jafari

    sub.h hai parda tire chehre se haT jaane naam

    shaam hai gesū tire ruḳh par bikhar jaane naam

    jis ne dekhā ik nazar sarshār-o-be-ḳhud ho gayā

    chashm-e-maigūñ rakh diyā labrez paimāne naam

    tere aane se bahār aa.ī hai bazm-e-dahr meñ

    aur qayāmat hai tire aa kar chale jaane naam

    zindagī hai asl meñ milne paiham kashmakash

    maut hai us markaz-e-aslī meñ mil jaane naam

    aadmī is jism ke miTne se miT saktā nahīñ

    maut aanā hai faqat mahfil badal jaane naam

    mutma.in insān is duniyā meñ ho saktā nahīñ

    mutma.in honā hai kuchh din ko bahal jaane naam

    ek tabassum ke ivaz ronā paḌā pahroñ mujhe

    ab to letī nahīñ lab par hañsī aane naam

    ek jām-e-be-ḳhudī 'najma' ko saaqī baḳhsh de

    tā-abad raushan rahegā tere maiḳhāne naam

    subh hai parda tere chehre se haT jaane ka nam

    sham hai gesu tere ruKH par bikhar jaane ka nam

    jis ne dekha ek nazar sarshaar-o-be-KHud ho gaya

    chashm-e-maigun rakh diya labrez paimane ka nam

    tere aane se bahaar aai hai bazm-e-dahr mein

    aur qayamat hai tere aa kar chale jaane ka nam

    zindagi hai asl mein milne ki paiham kashmakash

    maut hai us markaz-e-asli mein mil jaane ka nam

    aadmi is jism ke miTne se miT sakta nahin

    maut aana hai faqat mahfil badal jaane ka nam

    mutmain insan is duniya mein ho sakta nahin

    mutmain hona hai kuchh din ko bahal jaane ka nam

    ek tabassum ke iwaz rona paDa pahron mujhe

    ab to leti hi nahin lab par hansi aane ka nam

    ek jam-e-be-KHudi 'najma' ko saqi baKHsh de

    ta-abad raushan rahega tere maiKHane ka nam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now