subh ko tar kiya gaya sham ko nam kiya gaya
sub.h ko tar kiyā gayā shaam ko nam kiyā gayā
tab kahīñ ḳhush huā gayā tab kahīñ ġham kiyā gayā
ḳhvāb ke TūTne pe aaj karnā paḌā hai ehtijāj
bolnā kam kiyā gayā dekhnā kam kiyā gayā
kaam pe bhejne se qabl ham pe huā bahut sā kaam
ham ko badan kiyā gayā ham ko qadam kiyā gayā
mujh ko batā diyā gayā zindagī kyā hai maut kyā
mere badan se ek aur ruuh ko kam kiyā gayā
samtoñ kā is qadar ḳhayāl samtoñ kā is qadar malāl
chāroñ ke biich baiTh kar chāroñ kā ġham kiyā gayā
vasl rahā na tum rahe hijr rahā na ham rahe
tum ko vo tum kiyā gayā ham ko vo ham kiyā gayā
ham ko uThā liyā gayā ḳhauf tak aur ḳhvāb tak
patte baḌhā diye ga.e phūloñ ko kam kiyā gayā
mere varaq pe ek aur buuñd girī lahū kī buuñd
mere qalam se ek aur sar ko qalam kiyā gayā
subh ko tar kiya gaya sham ko nam kiya gaya
tab kahin KHush hua gaya tab kahin gham kiya gaya
KHwab ke TuTne pe aaj karna paDa hai ehtijaj
bolna kam kiya gaya dekhna kam kiya gaya
kaam pe bhejne se qabl hum pe hua bahut sa kaam
hum ko badan kiya gaya hum ko qadam kiya gaya
mujh ko bata diya gaya zindagi kya hai maut kya
mere badan se ek aur ruh ko kam kiya gaya
samton ka is qadar KHayal samton ka is qadar malal
chaaron ke bich baiTh kar chaaron ka gham kiya gaya
wasl raha na tum rahe hijr raha na hum rahe
tum ko wo tum kiya gaya hum ko wo hum kiya gaya
hum ko uTha liya gaya KHauf tak aur KHwab tak
patte baDha diye gae phulon ko kam kiya gaya
mere waraq pe ek aur bund giri lahu ki bund
mere qalam se ek aur sar ko qalam kiya gaya
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 107)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.