subh phir chhoD ke jaane ko thi ek bar mujhe
sub.h phir chhoḌ ke jaane ko thī ik baar mujhe
us ne bar-vaqt kiyā ḳhvāb se bedār mujhe
ek dīvār ko tasvīr samajhtā rahā maiñ
aur tasvīr samajhtī rahī dīvār mujhe
maiñ to ik 'umr se masrūf isī kaam meñ huuñ
jo samajhtā hai samajhtā rahe bekār mujhe
kyā batā.ūñ ki 'ajab hai mirā shauq-e-tā’mīr
jo shab-o-roz kiye jaatā hai mismār mujhe
maiñ to chup-chāp kahānī se nikal jā.ūñ magar
rok letā hai hamesha mirā kirdār mujhe
zalzale aate rahe ghar nahīñ chhoḌā lekin
mashvare dete rahe go dar-o-dīvār mujhe
maiñ ki jis din se huā chhāñv kā 'aadī 'ġhā.er'
bas usī din se hai ye dhuup kā āzār mujhe
subh phir chhoD ke jaane ko thi ek bar mujhe
us ne bar-waqt kiya KHwab se bedar mujhe
ek diwar ko taswir samajhta raha main
aur taswir samajhti rahi diwar mujhe
main to ek 'umr se masruf isi kaam mein hun
jo samajhta hai samajhta rahe bekar mujhe
kya bataun ki 'ajab hai mera shauq-e-ta’mir
jo shab-o-roz kiye jata hai mismar mujhe
main to chup-chap kahani se nikal jaun magar
rok leta hai hamesha mera kirdar mujhe
zalzale aate rahe ghar nahin chhoDa lekin
mashware dete rahe go dar-o-diwar mujhe
main ki jis din se hua chhanw ka 'adi 'ghaer'
bas usi din se hai ye dhup ka aazar mujhe
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 61)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.