aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukh isi ek baat ka hai mujhe

Dheerendra Singh Faiyaz

sukh isi ek baat ka hai mujhe

Dheerendra Singh Faiyaz

MORE BYDheerendra Singh Faiyaz

    sukh isī ek baat hai mujhe

    merā bātin aa.inā hai mujhe

    in se iz.hār tavaqqo hai

    terī āñkhoñ meñ dekhnā hai mujhe

    aap hijr āḳhirī dukh hai

    aap ishq dūsrā hai mujhe

    sāñs-dar-sāñs kar rahā huuñ adā

    aur ye zindagī bhī kyā hai mujhe

    mujh ko āvāz ab nahīñ darkār

    merī ḳhāmoshī sadā hai mujhe

    kaam duniyā ke kar liye saare

    mahz ab us ko bhūlnā hai mujhe

    ek mujh meñ hai mubtalā duniyā

    aadmī kitnā sochtā hai mujhe

    ya.anī bīnā.ī tak chalī jaa.e

    yahī rone intihā hai mujhe

    sukh isi ek baat ka hai mujhe

    mera baatin hi aaina hai mujhe

    in se izhaar ki tawaqqo hai

    teri aankhon mein dekhna hai mujhe

    aap ka hijr aaKHiri dukh hai

    aap ka ishq dusra hai mujhe

    sans-dar-sans kar raha hun ada

    aur ye zindagi bhi kya hai mujhe

    mujh ko aawaz ab nahin darkar

    meri KHamoshi hi sada hai mujhe

    kaam duniya ke kar liye sare

    mahz ab us ko bhulna hai mujhe

    ek mujh mein hai mubtala duniya

    aadmi kitna sochta hai mujhe

    yani binai tak chali jae

    yahi rone ki intiha hai mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now