suKHan bimar hota ja raha hai
suḳhan bīmār hotā jā rahā hai
laboñ par baar hotā jā rahā hai
kabhī jo rāhat-e-jāñ mashġhala thā
vo ab āzār hotā jā rahā hai
samajh meñ aa gayā chāragaroñ kī
maraz bekār hotā jā rahā hai
chubhā hai paañv meñ kāñTā ḳhirad kā
junūñ bedār hotā jā rahā hai
tamāshe sā tamāshā hai hamārā
sar-e-bāzār hotā jā rahā hai
purānā zaḳhm bharne ke jatan meñ
nayā tayyār hotā jā rahā hai
kabhī jis par 'aqīda thā hamārā
vo but mismār hotā jā rahā hai
suKHan bimar hota ja raha hai
labon par bar hota ja raha hai
kabhi jo rahat-e-jaan mashghala tha
wo ab aazar hota ja raha hai
samajh mein aa gaya chaaragaron ki
maraz bekar hota ja raha hai
chubha hai panw mein kanTa KHirad ka
junun bedar hota ja raha hai
tamashe sa tamasha hai hamara
sar-e-bazar hota ja raha hai
purana zaKHm bharne ke jatan mein
naya tayyar hota ja raha hai
kabhi jis par 'aqida tha hamara
wo but mismar hota ja raha hai
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 83)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.