suKHan kuchh aise lahu ke labon se nikle hain
suḳhan kuchh aise lahū ke laboñ se nikle haiñ
ḳhud-āgahī meñ ham apnī hadoñ se nikle haiñ
koī batāo ye nairangī-e-numū kyā hai
chubhe jo paañv meñ kāñTe saroñ se nikle haiñ
ye dhuup aisī ki ham naqsh jis pe nām-ba-nām
ye dasht vo haiñ jo apne gharoñ se nikle haiñ
ham aur mehvar-e-jāñ kā ye daur ḳhāk-ba-ḳhāk
sitāra-gar bhī kabhī gardishoñ se nikle haiñ
shabīh-gar haiñ kuchh aise ki ham barūn-e-badan
bas ek zau ko liye sau ruḳhoñ se nikle haiñ
ye tah-ba-tah jo zamāne zamīñ ke andar haiñ
sañvar sañvar ke ham in kī safoñ se nikle haiñ
suKHan kuchh aise lahu ke labon se nikle hain
KHud-agahi mein hum apni hadon se nikle hain
koi batao ye nairangi-e-numu kya hai
chubhe jo panw mein kanTe saron se nikle hain
ye dhup aisi ki hum naqsh jis pe nam-ba-nam
ye dasht wo hain jo apne gharon se nikle hain
hum aur mehwar-e-jaan ka ye daur KHak-ba-KHak
sitara-gar bhi kabhi gardishon se nikle hain
shabih-gar hain kuchh aise ki hum barun-e-badan
bas ek zau ko liye sau ruKHon se nikle hain
ye tah-ba-tah jo zamane zamin ke andar hain
sanwar sanwar ke hum in ki safon se nikle hain
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 63)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.