sukun dene laga hai hijr ab aahista aahista
sukūñ dene lagā hai hijr ab āhista āhista
kahīñ miT jaa.e nā terī talab āhista āhista
hue jaate haiñ iqlīm-e-suḳhan ke juuñ makīñ ruḳhsat
na ġham-ḳhāna bane bazm-e-tarab āhista āhista
batāshe se ghule jaate haiñ us kā naam lene se
hue jaate haiñ kaise shīrīñ-lab āhista āhista
ye kaisī sarkashī bachchoñ ke zehnoñ meñ hai dar aa.ī
huā ruḳhsat buzurgoñ kā adab āhista āhista
pilāo zahr mat insāñ ko nafrat kā ta'assub kā
banegā ye tabāhī kā sabab āhista āhista
na-jāne zindagī kā kab tamāsha ḳhatm ho jaa.e
sameTo tām-jhām apnā ye sab āhista āhista
damakte ruḳh sitāra aañkh par 'nasrīñ' gumāñ kaisā
paḌegī maañd saarī tāb-o-tab āhista āhista
sukun dene laga hai hijr ab aahista aahista
kahin miT jae na teri talab aahista aahista
hue jate hain iqlim-e-suKHan ke jun makin ruKHsat
na gham-KHana bane bazm-e-tarab aahista aahista
batashe se ghule jate hain us ka nam lene se
hue jate hain kaise shirin-lab aahista aahista
ye kaisi sarkashi bachchon ke zehnon mein hai dar aai
hua ruKHsat buzurgon ka adab aahista aahista
pilao zahr mat insan ko nafrat ka ta'assub ka
banega ye tabahi ka sabab aahista aahista
na-jaane zindagi ka kab tamasha KHatm ho jae
sameTo tam-jham apna ye sab aahista aahista
damakte ruKH sitara aankh par 'nasrin' guman kaisa
paDegi mand sari tab-o-tab aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.