sun leta hai bandon ki dua kuchh nahin kahta
sun letā hai bandoñ kī du'ā kuchh nahīñ kahtā
sab dekhtā rahtā hai ḳhudā kuchh nahīñ kahtā
vo din bhī the jab tāb-e-nazar bhī na thī us ko
ab khultā huā band-e-qabā kuchh nahīñ kahtā
pahuñche koī manzil pe ki raste hī meñ rah jaa.e
ye rasta ye naqsh-e-kaf-e-pā kuchh nahīñ kahtā
ye vaz’-e-mohabbat hai ki patthar ke bhī aage
jhuktā huuñ to pindār-e-anā kuchh nahīñ kahtā
''muddat huī lafzoñ se judā ho ga.e mā'nī
phir bhī koī be-harf-o-navā kuchh nahīñ kahtā
kyā shikva sitamgar hai ki ab to mire haq meñ
kuchh din se koī ahl-e-vafā kuchh nahīñ kahtā
ye rasm hai kaisī ki tire shahr meñ koī
chupke se ba-andāz-o-adā kuchh nahīñ kahtā
ab kyoñ tirī āñkhoñ meñ nahīñ rang-e-takallum
ab kyoñ tirā andāz-o-adā kuchh nahīñ kahtā
'najmī' mujhe ik jān-e-ġhazal se hai jo ulfat
kahtā huuñ ġhazal is ke sivā kuchh nahīñ kahtā
sun leta hai bandon ki du'a kuchh nahin kahta
sab dekhta rahta hai KHuda kuchh nahin kahta
wo din bhi the jab tab-e-nazar bhi na thi us ko
ab khulta hua band-e-qaba kuchh nahin kahta
pahunche koi manzil pe ki raste hi mein rah jae
ye rasta ye naqsh-e-kaf-e-pa kuchh nahin kahta
ye waz’-e-mohabbat hai ki patthar ke bhi aage
jhukta hun to pindar-e-ana kuchh nahin kahta
muddat hui lafzon se juda ho gae ma'ni
phir bhi koi be-harf-o-nawa kuchh nahin kahta
kya shikwa sitamgar hai ki ab to mere haq mein
kuchh din se koi ahl-e-wafa kuchh nahin kahta
ye rasm hai kaisi ki tere shahr mein koi
chupke se ba-andaz-o-ada kuchh nahin kahta
ab kyon teri aankhon mein nahin rang-e-takallum
ab kyon tera andaz-o-ada kuchh nahin kahta
'najmi' mujhe ek jaan-e-ghazal se hai jo ulfat
kahta hun ghazal is ke siwa kuchh nahin kahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.