suna hai ek jahan-e-be-makan hai dusri jaanib
sunā hai ik jahān-e-be-makāñ hai dūsrī jānib
bahut phailā huā kār-e-jahāñ hai dūsrī jānib
abad-āsār niklī hai mirī tā'mīr kī ḳhvāhish
tirā dariyā mirī miTTī kahāñ hai dūsrī jānib
sitāra sā chalā aatā hai vo mere ta'āqub meñ
magar us kī nazar se bhī nihāñ hai dūsrī jānib
ab aatī hai ḳhudā jaane hazīmat kis ke hisse meñ
maiñ ik jānib huuñ aur kār-e-ziyāñ hai dūsrī jānib
dharā hai us taraf be-ant ā.īna koī 'at.har'
idhar jo kuchh bhī hai saarā 'ayāñ hai dūsrī jānib
suna hai ek jahan-e-be-makan hai dusri jaanib
bahut phaila hua kar-e-jahan hai dusri jaanib
abad-asar nikli hai meri ta'mir ki KHwahish
tera dariya meri miTTi kahan hai dusri jaanib
sitara sa chala aata hai wo mere ta'aqub mein
magar us ki nazar se bhi nihan hai dusri jaanib
ab aati hai KHuda jaane hazimat kis ke hisse mein
main ek jaanib hun aur kar-e-ziyan hai dusri jaanib
dhara hai us taraf be-ant aaina koi 'athar'
idhar jo kuchh bhi hai sara 'ayan hai dusri jaanib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.