suna raha tha koi apne dil ka haal mujhe
sunā rahā thā koī apne dil kā haal mujhe
na jaane kyoñ tirā aane lagā ḳhayāl mujhe
hujūm-e-ġham meñ bhī aayā yahī ḳhayāl mujhe
ki dekh le na ye duniyā fasurda-hāl mujhe
qarīb thā ki shikār-e-ġham-e-jahāñ hotā
bachā liyā tirī nazroñ ne bāl-bāl mujhe
tumhārā pyaar na miltā to koī baat na thī
qarīb aa ke bichhaḌne kā hai malāl mujhe
vo chand roz tire saath jo guzāre the
tamām 'umr unhī kā rahā ḳhayāl mujhe
bulandiyoñ se girūñgā to TuuT jā.ūñgā
mire rafīq ab itnā bhī mat uchhāl mujhe
isī tarah se guzārī hai zindagī maiñ ne
ki dostoñ ne kiyā mere pā.emāl mujhe
vo merā dost thā 'arshad' ki merā dushman thā
satā rahā hai abhī tak yahī savāl mujhe
suna raha tha koi apne dil ka haal mujhe
na jaane kyon tera aane laga KHayal mujhe
hujum-e-gham mein bhi aaya yahi KHayal mujhe
ki dekh le na ye duniya fasurda-haal mujhe
qarib tha ki shikar-e-gham-e-jahan hota
bacha liya teri nazron ne baal-baal mujhe
tumhaara pyar na milta to koi baat na thi
qarib aa ke bichhaDne ka hai malal mujhe
wo chand roz tere sath jo guzare the
tamam 'umr unhi ka raha KHayal mujhe
bulandiyon se girunga to TuT jaunga
mere rafiq ab itna bhi mat uchhaal mujhe
isi tarah se guzari hai zindagi main ne
ki doston ne kiya mere paemal mujhe
wo mera dost tha 'arshad' ki mera dushman tha
sata raha hai abhi tak yahi sawal mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.