sunai deti nahin ab wo boliyan hai hai
sunā.ī detī nahīñ ab vo boliyāñ hai hai
kahāñ ga.iiñ vo hasīnoñ kī Toliyāñ hai hai
tamām 'umr bas ik ḳhvāb-e-gum-shuda ke liye
tarastī āñkhoñ ne rāteñ TaToliyāñ hai hai
diyā jalā ke naman nāg-devtā ko kiyā
phir us ne biin pe jo zulfeñ kholiyāñ hai hai
kisī ko yaad hai kashmīr san ikānve ke
shabāna chhāpe vo bhagdaḌ vo goliyāñ hai hai
ye ahl-e-dard jinheñ hasb-e-hāl kahte haiñ
lahū se ham ne vo tahrīreñ dho liyāñ hai hai
rafū-garoñ ne garebāñ ke chaak sī sī kar
jo sūiyāñ thiiñ jigar meñ chubho liyāñ hai hai
kabhī thā takiya jinheñ baal mere siine ke
parā.ī sej pe vo chupke roliyāñ hai hai
mire firāq meñ jin jin ke jism gadrā.e
uThīñ haiñ un kī mire aage Doliyāñ hai hai
'shafaq' na bhuul ki kashmīrī panditoñ ke saath
kisī zamāne meñ khelī haiñ holiyāñ hai hai
sunai deti nahin ab wo boliyan hai hai
kahan gain wo hasinon ki Toliyan hai hai
tamam 'umr bas ek KHwab-e-gum-shuda ke liye
tarasti aankhon ne raaten TaToliyan hai hai
diya jala ke naman nag-dewta ko kiya
phir us ne bin pe jo zulfen kholiyan hai hai
kisi ko yaad hai kashmir san ikanwe ke
shabana chhape wo bhagdaD wo goliyan hai hai
ye ahl-e-dard jinhen hasb-e-haal kahte hain
lahu se hum ne wo tahriren dho liyan hai hai
rafu-garon ne gareban ke chaak si si kar
jo suiyan thin jigar mein chubho liyan hai hai
kabhi tha takiya jinhen baal mere sine ke
parai sej pe wo chupke roliyan hai hai
mere firaq mein jin jin ke jism gadrae
uThin hain un ki mere aage Doliyan hai hai
'shafaq' na bhul ki kashmiri panditon ke sath
kisi zamane mein kheli hain holiyan hai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.