suni kuchh aur jati hai sunai aur jati hai
sunī kuchh aur jaatī hai sunā.ī aur jaatī hai
kahānī aur hotī hai batā.ī aur jaatī hai
tumheñ jo baat batlānā mujhe behad zarūrī hai
na jaane kyoñ tumhīñ se hī chhupā.ī aur jaatī hai
abhī tum ko kuchh ādāb-e-mohabbat sīkhne hoñge
nazar har baar milne par churā.ī aur jaatī hai
vo jo hākim dikhātā hai nā mustaqbil kī ik tasvīr
dikhā.ī aur jaatī hai banā.ī aur jaatī hai
suni kuchh aur jati hai sunai aur jati hai
kahani aur hoti hai batai aur jati hai
tumhein jo baat batlana mujhe behad zaruri hai
na jaane kyon tumhin se hi chhupai aur jati hai
abhi tum ko kuchh aadab-e-mohabbat sikhne honge
nazar har bar milne par churai aur jati hai
wo jo hakim dikhata hai na mustaqbil ki ek taswir
dikhai aur jati hai banai aur jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.