Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suno musafir! sarae-jaan ko tumhaari yaaden jala chuki hain

Aziz Nabeel

suno musafir! sarae-jaan ko tumhaari yaaden jala chuki hain

Aziz Nabeel

MORE BYAziz Nabeel

    suno musāfir! sarā.e-jāñ ko tumhārī yādeñ jalā chukī haiñ

    mohabbatoñ hikāyateñ ab yahāñ se Derā uThā chukī haiñ

    vo shahr-e-hairat shāhzāda giraft-e-idrāk meñ nahīñ hai

    us ek chehre hairatoñ meñ hazār āñkheñ samā chukī haiñ

    ham apne sar par guzishta din thakan uThā.e bhaTak rahe haiñ

    dayār-e-shab terī ḳhvāb-gāheñ tamām parde girā chukī haiñ

    badalte mausam silvaToñ meñ dabī haiñ hijrat dāstāneñ

    vo dāstāneñ jo sunñe vāloñ niiñd kab uḌā chukī haiñ

    vo saarī sub.heñ tamām shāmeñ ki jin ke māthe pe ham likhe the

    sunā hai kal shab tumhāre dar par lahū ke aañsū bahā chukī haiñ

    kahāñ se aa.e the tiir ham par, tanābeñ ḳhemoñ kis ne kāTīñ

    gurez kartī havā.eñ ham ko tamām bāteñ batā chukī haiñ

    dhueñ ke bādal chhaTe to ham ne 'nabīl' dekhā ajiib manzar

    ḳhamoshiyoñ sulagtī chīḳheñ fazā siina jalā chukī haiñ

    suno musafir! sarae-jaan ko tumhaari yaaden jala chuki hain

    mohabbaton ki hikayaten ab yahan se Dera uTha chuki hain

    wo shahr-e-hairat ka shahzada giraft-e-idrak mein nahin hai

    us ek chehre ki hairaton mein hazar aankhen sama chuki hain

    hum apne sar par guzishta din ki thakan uThae bhaTak rahe hain

    dayar-e-shab teri KHwab-gahen tamam parde gira chuki hain

    badalte mausam ki silwaTon mein dabi hain hijrat ki dastanen

    wo dastanen jo sunne walon ki nind kab ki uDa chuki hain

    wo sari subhen tamam shamen ki jin ke mathe pe hum likhe the

    suna hai kal shab tumhaare dar par lahu ke aansu baha chuki hain

    kahan se aae the tir hum par, tanaben KHemon ki kis ne kaTin

    gurez karti hawaen hum ko tamam baaten bata chuki hain

    dhuen ke baadal chhaTe to hum ne 'nabil' dekha ajib manzar

    KHamoshiyon ki sulagti chiKHen faza ka sina jala chuki hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now