sunsan bastiyon ki taraf dekhte raho
sunsān bastiyoñ kī taraf dekhte raho
shahroñ se jangaloñ kī taraf dekhte raho
sūkhī paḌī nadī ko kabhī paar mat karo
sāhil se sāhiloñ kī taraf dekhte raho
ḳhvāhish barāh-e-rāst usī ik badan se hai
ḳhvāhish se ḳhvāhishoñ kī taraf dekhte raho
kuchh ḳhaas ahl-e-fan ko manāzir dikhāo aur
phir 'aam manzaroñ kī taraf dekhte raho
ye dekhte raho ki koī dekhtā bhī hai
un dekhte huoñ kī taraf dekhte raho
vo chāñd hī bhale ki jinheñ chhū sako 'asar'
tum us kī bāliyoñ kī taraf dekhte raho
sunsan bastiyon ki taraf dekhte raho
shahron se jangalon ki taraf dekhte raho
sukhi paDi nadi ko kabhi par mat karo
sahil se sahilon ki taraf dekhte raho
KHwahish barah-e-rast usi ek badan se hai
KHwahish se KHwahishon ki taraf dekhte raho
kuchh KHas ahl-e-fan ko manazir dikhao aur
phir 'am manzaron ki taraf dekhte raho
ye dekhte raho ki koi dekhta bhi hai
un dekhte huon ki taraf dekhte raho
wo chand hi bhale ki jinhen chhu sako 'asar'
tum us ki baaliyon ki taraf dekhte raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.