surKH-ru honge mohabbat mein hum insha-allah
surḳh-rū hoñge mohabbat meñ ham inshā-'allāh'
fat.h chūmegī hamāre qadam inshā-'allāh'
kabhī mahrūm na rakkheñge sitam se apne
ham pe farmā.eñge vo ye karam inshā-'allāh'
aa gayā hai hameñ har haal meñ hañste rahnā
ab kisī baat kā hogā na ġham inshā-'allāh'
shaiḳh jī saath hamārā nahīñ dete to na deñ
dil meñ pachhtā.eñge ḳhud mohtaram inshā-'allāh'
koī us shaḳhs ko bhūlā rahe chāhe barsoñ
yaad aa jā.egā vo ek dam inshā-'allāh'
bāda-e-nāb ke do ghūñT lagā lījiyegā
duur ho jā.eñge ranj-o-alam inshā-'allāh'
ham ne allāh se ummīd lagā.ī hai 'shu'ūr'
raam ho jā.egā ab vo sanam inshā-'allāh'
surKH-ru honge mohabbat mein hum insha-'allah'
fath chumegi hamare qadam insha-'allah'
kabhi mahrum na rakkhenge sitam se apne
hum pe farmaenge wo ye karam insha-'allah'
aa gaya hai hamein har haal mein hanste rahna
ab kisi baat ka hoga na gham insha-'allah'
shaiKH ji sath hamara nahin dete to na den
dil mein pachhtaenge KHud mohtaram insha-'allah'
koi us shaKHs ko bhula rahe chahe barson
yaad aa jaega wo ek dam insha-'allah'
baada-e-nab ke do ghunT laga lijiyega
dur ho jaenge ranj-o-alam insha-'allah'
hum ne allah se ummid lagai hai 'shu'ur'
ram ho jaega ab wo sanam insha-'allah'
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 158)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.