surur-e-gham ko KHarab ai KHarab-kar na kar

surur-e-gham ko KHarab ai KHarab-kar na kar
Nazeer Hussain Siddiqui
MORE BYNazeer Hussain Siddiqui
surūr-e-ġham ko ḳharāb ai ḳharāb-kār na kar
ḳhizāñ ke kaif ko ālūda-e-bahār na kar
naved-e-vasl se majbūr-e-intizār na kar
ab is qarār ke parde meñ be-qarār na kar
kisī ko chhoḌ ke merā sharīk-e-dard rahe
jo dil pe vaar kiyā hai jigar pe vaar na kar
nazar vo Daal sukūñ paa.e be-qarār tirā
nazar haTā ke ise aur be-qarār na kar
nigāh-e-shauq meñ bhar le tamām 'ālam-e-husn
mazāq-e-dīd ko pāband-e-rū-e-yār na kar
ye aur hosh se jaa.e na hosh meñ aa kar
tū apne be-ḳhud-e-ulfat ko hoshiyār na kar
nazar milā ke dil-o-jāñ ke lūTne vaale
mire hī zauq-e-tamannā se mujh pe vaar na kar
asīr-e-halqa-e-dām-e-ḳhayāl rahne de
mire vujūd se ab mujh ko sharm-sār na kar
dil aur zabān meñ koī bhī ahl-e-zabt nahīñ
dil-o-zabāñ ko mohabbat kā rāzdār na kar
jo 'aish-e-vasl mayassar nahīñ na ho ai dil
ġham-e-firāq mayassar hai sharmsār na kar
vo uTh ke rah ga.ī āvāz-e-jāñ-gudāz 'junūñ'
ab apnī zindagī-e-dil kā e'tibār na kar
surur-e-gham ko KHarab ai KHarab-kar na kar
KHizan ke kaif ko aaluda-e-bahaar na kar
nawed-e-wasl se majbur-e-intizar na kar
ab is qarar ke parde mein be-qarar na kar
kisi ko chhoD ke mera sharik-e-dard rahe
jo dil pe war kiya hai jigar pe war na kar
nazar wo Dal sukun pae be-qarar tera
nazar haTa ke ise aur be-qarar na kar
nigah-e-shauq mein bhar le tamam 'alam-e-husn
mazaq-e-did ko paband-e-ru-e-yar na kar
ye aur hosh se jae na hosh mein aa kar
tu apne be-KHud-e-ulfat ko hoshiyar na kar
nazar mila ke dil-o-jaan ke luTne wale
mere hi zauq-e-tamanna se mujh pe war na kar
asir-e-halqa-e-dam-e-KHayal rahne de
mere wujud se ab mujh ko sharm-sar na kar
dil aur zaban mein koi bhi ahl-e-zabt nahin
dil-o-zaban ko mohabbat ka raazdar na kar
jo 'aish-e-wasl mayassar nahin na ho ai dil
gham-e-firaq mayassar hai sharmsar na kar
wo uTh ke rah gai aawaz-e-jaan-gudaz 'junun'
ab apni zindagi-e-dil ka e'tibar na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.