Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukhe honTon par mere harf-e-dua hote hue

Asif Bilal

sukhe honTon par mere harf-e-dua hote hue

Asif Bilal

MORE BYAsif Bilal

    sūkhe hoñToñ par mire harf-e-duā hote hue

    jang kaise haar jaa.eñ hausla hote hue

    ho anal-haq sadā to paikar-e-mansūr ho

    ham ne dekhā hai yahāñ banda ḳhudā hote hue

    maiñ jhukā.ūñ sar sar-e-maqtal ḳhudā aisā na ho

    sāmne dars-e-imām-e-karbalā hote hue

    laaj rakhnā is uThe dast-e-du'ā ai ḳhudā

    kashtiyāñ kyoñ Duub jaa.eñ nāḳhudā hote hue

    maiñ samundar vus'at meñ bhaTaktā rah gayā

    sāhiloñ ret par kuchh naqsh-e-pā hote hue

    kyā kahūñ shauq-e-junūñ meñ chāk-dāmānī phir

    raaz afshā ho gayā band-e-qabā hote hue

    jaane kyā tā'bīr ho is ḳhvāb 'āsif-bilāl’

    ik samundar dekhtā huuñ surḳh hote hue

    sukhe honTon par mere harf-e-dua hote hue

    jang kaise haar jaen hausla hote hue

    ho anal-haq ki sada to paikar-e-mansur ho

    hum ne dekha hai yahan banda KHuda hote hue

    main jhukaun sar sar-e-maqtal KHuda aisa na ho

    samne dars-e-imam-e-karbala hote hue

    laj rakhna is uThe dast-e-du'a ki ai KHuda

    kashtiyan kyon Dub jaen naKHuda hote hue

    main samundar hi ki wus'at mein bhaTakta rah gaya

    sahilon ki ret par kuchh naqsh-e-pa hote hue

    kya kahun shauq-e-junun mein chaak-damani ka phir

    raaz afsha ho gaya band-e-qaba hote hue

    jaane kya ta'bir ho is KHwab ki 'asif-bilal’

    ek samundar dekhta hun surKH sa hote hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now