sukhe phul mahak uThte hain gard-alud kitabon mein
sūkhe phuul mahak uThte haiñ gard-ālūd kitāboñ meñ
maiñ ne sochā bhuul gayā maiñ sab kuchh itne sāloñ meñ
chāhat aaj bhī jaag uThtī hai bhūlī-bisrī yādoñ kī
siilī dil kī dīvāreñ aatī haiñ nazar barsātoñ meñ
yuuñ to 'umr guzar jaatī hai kuchh rishtoñ ko banāne meñ
koī apnā ho jaatā hai bas bātoñ hī bātoñ meñ
ek akelā maiñ hī nahīñ huuñ tere pyaar meñ saudā.ī
aksar chāñd ko dekhā hai rote hue ThanDī rātoñ meñ
ye to haarī hī baazī thī jaane kaise jiitā maiñ
shāyad merī maañ ne hai rakkhā har pal mujh ko du'āoñ meñ
sukhe phul mahak uThte hain gard-alud kitabon mein
main ne socha bhul gaya main sab kuchh itne salon mein
chahat aaj bhi jag uThti hai bhuli-bisri yaadon ki
sili dil ki diwaren aati hain nazar barsaton mein
yun to 'umr guzar jati hai kuchh rishton ko banane mein
koi apna ho jata hai bas baaton hi baaton mein
ek akela main hi nahin hun tere pyar mein saudai
aksar chand ko dekha hai rote hue ThanDi raaton mein
ye to haari hi bazi thi jaane kaise jita main
shayad meri man ne hai rakkha har pal mujh ko du'aon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.