Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sune sune se falak par ek ghaTa banti hui

Swappnil Tiwari

sune sune se falak par ek ghaTa banti hui

Swappnil Tiwari

MORE BYSwappnil Tiwari

    suune suune se falak par ik ghaTā bantī huī

    dhīre dhīre us aamad fazā bantī huī

    janm bas ek lamha aur ab ye zindagī

    ik zarā baat baḌh kar mas.ala bantī huī

    qaid lagne lagī hai mujh ko ye āvārgī

    ab to āzādī bhī merī ik sazā bantī huī

    terī har choT ik lazzat hai mere liye

    ab ye lazzat dā.imī zā.iqa bantī huī

    kar ga.ī hai kis qadar masrūf mujh ko dekhiye

    merī sub.h-o-shām vo mashġhala bantī huī

    haiñ sabhī TuuTe hue ye jaan paayā jab dukhī

    merī ik TuuTī sadā sab sadā bantī huī

    ai mire saa.e milā hai jab se tujh ham-safar

    rāste har musībat rāstā bantī huī

    tham chukī thī jab ki har halchal tirī yaad aa.ī phir

    zindagī sat.h par ik bulbulā bantī huī

    merī āñkheñ haiñ abhī bhī is tilismī qaid meñ

    is vo dhundlī sūrat jā-ba-jā bantī huī

    is jalan ke saath rahnā hai ab 'ātish' mujhe

    jo mirī zid thī kabhī ab vo anā bantī huī

    sune sune se falak par ek ghaTa banti hui

    dhire dhire us ki aamad ki faza banti hui

    janm ka bas ek lamha aur ab ye zindagi

    ek zara si baat baDh kar masala banti hui

    qaid si lagne lagi hai mujh ko ye aawargi

    ab to aazadi bhi meri ek saza banti hui

    teri di har choT ek lazzat si hai mere liye

    ab ye lazzat daimi sa zaiqa banti hui

    kar gai hai kis qadar masruf mujh ko dekhiye

    meri subh-o-sham ka wo mashghala banti hui

    hain sabhi TuTe hue ye jaan paya jab dukhi

    meri ek TuTi sada sab ki sada banti hui

    ai mere sae mila hai jab se tujh sa ham-safar

    raste ki har musibat rasta banti hui

    tham chuki thi jab ki har halchal teri yaad aai phir

    zindagi ki sath par ek bulbula banti hui

    meri aankhen hain abhi bhi is tilismi qaid mein

    is ki wo dhundli si surat ja-ba-ja banti hui

    is jalan ke sath hi rahna hai ab 'atish' mujhe

    jo meri zid thi kabhi ab wo ana banti hui

    Source:

    Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 61)

    • Author: Swapnil Tiwari
      • Edition: 2015
      • Publisher: Anybook, Gurgaon
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now