ta-baam-e-falak KHak-basar aane laga hun
tā-bām-e-falak ḳhāk-basar aane lagā huuñ
jis samt ishāra thā udhar aane lagā huuñ
jab tak tirī āñkhoñ meñ nahīñ thā to nahīñ thā
ab dekhne vāloñ ko nazar aane lagā huuñ
mat kāTnā rasta mirā ban kar ḳhat-e-imkāñ
ai dar-ba-darī lauT ke ghar aane lagā huuñ
ik vahm sahī phir bhī mirī nafī hai dushvār
ai dost har aahaT par agar aane lagā huuñ
allāh-re qismat ki 'shahāb' un kī galī meñ
saa.e kī tarah shām-o-sahar aane lagā huuñ
ta-baam-e-falak KHak-basar aane laga hun
jis samt ishaara tha udhar aane laga hun
jab tak teri aankhon mein nahin tha to nahin tha
ab dekhne walon ko nazar aane laga hun
mat kaTna rasta mera ban kar KHat-e-imkan
ai dar-ba-dari lauT ke ghar aane laga hun
ek wahm sahi phir bhi meri nafi hai dushwar
ai dost har aahaT par agar aane laga hun
allah-re qismat ki 'shahab' un ki gali mein
sae ki tarah sham-o-sahar aane laga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.