ta’bir-e-KHwab karte hain naqsha banate hain
tā’bīr-e-ḳhvāb karte haiñ naqsha banāte haiñ
ghar is baḌe jahān meñ apnā banāte haiñ
auroñ kī dāstān meñ kuchh bhī nayā nahīñ
ham apne 'ishq se koī qissa banāte haiñ
apne vujūd ke sabhī patthar nikāl kar
phir do diloñ ke biich meñ rasta banāte haiñ
siine se dil nikal ke kahīñ aur jā basā
apne badan kā phir use hissa banāte haiñ
bārūd aag kī kisī bhaTTī meñ Daal kar
bachchoñ ke vāste koī basta banāte haiñ
lāshoñ ke Dher par koī mātam-kunāñ nahīñ
kitnā ye log ḳhuun ko sastā banāte haiñ
is shor meñ to kuchh bhī sunā.ī na de 'ḳhizar'
ḳhāmoshiyoñ kī baat kā lahja banāte haiñ
ta’bir-e-KHwab karte hain naqsha banate hain
ghar is baDe jahan mein apna banate hain
auron ki dastan mein kuchh bhi naya nahin
hum apne 'ishq se koi qissa banate hain
apne wujud ke sabhi patthar nikal kar
phir do dilon ke bich mein rasta banate hain
sine se dil nikal ke kahin aur ja basa
apne badan ka phir use hissa banate hain
barud aag ki kisi bhaTTi mein Dal kar
bachchon ke waste koi basta banate hain
lashon ke Dher par koi matam-kunan nahin
kitna ye log KHun ko sasta banate hain
is shor mein to kuchh bhi sunai na de 'KHizar'
KHamoshiyon ki baat ka lahja banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.