Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tab-e-nigah thi to nazara bhi dost tha

Ishrat Qadri

tab-e-nigah thi to nazara bhi dost tha

Ishrat Qadri

MORE BYIshrat Qadri

    tāb-e-nigāh thī to nazāra bhī dost thā

    us chashm-e-nargisīñ ishāra bhī dost thā

    TuuTā to āsmāñ se ḳhalāoñ meñ kho gayā

    jab tak chamak rahā thā sitāra bhī dost thā

    ham khelte the aag se jis sin meñ un dinoñ

    chingāriyāñ thiiñ phuul sharārā bhī dost thā

    aThkheliyāñ thiiñ ret pe maujoñ duur tak

    Thahrī huī nadī kinārā bhī dost thā

    ġham-ḳhvāriyāñ thiiñ sheva dil-e-dard-mañd

    laakh ajnabī ho 'ishq maarā bhī dost thā

    rāteñ ḳhayāl-o-ḳhvāb se ārāsta rahīñ

    pahlū meñ ek anjuman-ārā bhī dost thā

    miTTī rizq ho gayā kuchh yādeñ chhoḌ kar

    kis se kaheñ ki shaad pyārā bhī dost thā

    kis tarah milā hai saf-e-dushmanāñ meñ vo

    'ishrat' jo ek shaḳhs hamārā bhī dost thā

    tab-e-nigah thi to nazara bhi dost tha

    us chashm-e-nargisin ka ishaara bhi dost tha

    TuTa to aasman se KHalaon mein kho gaya

    jab tak chamak raha tha sitara bhi dost tha

    hum khelte the aag se jis sin mein un dinon

    chingariyan thin phul sharara bhi dost tha

    aThkheliyan thin ret pe maujon ki dur tak

    Thahri hui nadi ka kinara bhi dost tha

    gham-KHwariyan thin shewa dil-e-dard-mand ka

    lakh ajnabi ho 'ishq ka mara bhi dost tha

    raaten KHayal-o-KHwab se aarasta rahin

    pahlu mein ek anjuman-ara bhi dost tha

    miTTi ka rizq ho gaya kuchh yaaden chhoD kar

    kis se kahen ki shad sa pyara bhi dost tha

    kis tarah ja mila hai saf-e-dushmanan mein wo

    'ishrat' jo ek shaKHs hamara bhi dost tha

    Source:

    Aasman Saiyban (Poetry) (Pg. 43)

    • Author: Ishrat Qadri
      • Edition: 2010
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now