tare jo bujh gae wo mere aasman ke the
taare jo bujh ga.e vo mire āsmāñ ke the
murjhā ga.e jo phuul mire gulsitāñ ke the
jo chīḳh dab ga.ī thī vo ik be-zabāñ kī thī
jo naqsh miT ga.e vo kisī kārvāñ ke the
bachche ko khelne kī ijāzat na de sakā
majbūr thā khilaune vo us kī dukāñ ke the
ham se shurū' thī na vo ham par hī ḳhatm thī
lagtā hai is kahānī meñ ham darmiyāñ ke the
jo aaj bik rahe haiñ sajāne ko mahfileñ
hai kal kī baat vo bhī kisī gulsitāñ ke the
bikhre to phir vujūd kisī kā na rah sakā
TuuTe hue ye hisse kabhī ik makāñ ke the
har baar kar ke vaar vo itrā.e thā magar
nādān thā vo vaar bas ik nā-tavāñ ke the
jin ke diloñ meñ pyaar mohabbat ḳhulūs thā
vo kis tarah ke log the vo kis jahāñ ke the
tare jo bujh gae wo mere aasman ke the
murjha gae jo phul mere gulsitan ke the
jo chiKH dab gai thi wo ek be-zaban ki thi
jo naqsh miT gae wo kisi karwan ke the
bachche ko khelne ki ijazat na de saka
majbur tha khilaune wo us ki dukan ke the
hum se shuru' thi na wo hum par hi KHatm thi
lagta hai is kahani mein hum darmiyan ke the
jo aaj bik rahe hain sajaane ko mahfilen
hai kal ki baat wo bhi kisi gulsitan ke the
bikhre to phir wujud kisi ka na rah saka
TuTe hue ye hisse kabhi ek makan ke the
har bar kar ke war wo itrae tha magar
nadan tha wo war bas ek na-tawan ke the
jin ke dilon mein pyar mohabbat KHulus tha
wo kis tarah ke log the wo kis jahan ke the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.