tarikiyon ko aag dikhai gahe gahe
tārīkiyoñ ko aag dikhā.ī gahe gahe
fikr-o-nazar kī sham' jalā.ī gahe gahe
kuchh shorish-e-hayāt ne bhī dar-ba-dar kiyā
kuchh ham ne apnī ḳhaak uḌaa.ī gahe gahe
tauba hazār baar mai-e-nāb se karūñ
mahsūs kar ke lutf-e-ḳhudā.ī gahe gahe
sayyād khol khol ke darvāza-e-qafas
parkhe hai merā shauq-e-rihā.ī gahe gahe
maiñ ḳhud hī chheḌ detā huuñ az-rāh-e-rasm-o-rāh
dil kī ḳhirad ke saath laḌā.ī gahe gahe
āshuftagī pe kitne girafta haiñ mere yaar
dete haiñ mujh ko merī safā.ī gahe gahe
ghaav to kab ke bhar ga.e piitā huuñ 'ādatan
do-chār ghūñT ek davā.ī gahe gahe
ḳhud bhī 'amar' bisāt-e-taḳhayyul pe kī dhamāl
nok-e-qalam bhī ḳhuub nachā.ī gahe gahe
tarikiyon ko aag dikhai gahe gahe
fikr-o-nazar ki sham' jalai gahe gahe
kuchh shorish-e-hayat ne bhi dar-ba-dar kiya
kuchh hum ne apni KHak uDai gahe gahe
tauba hazar bar mai-e-nab se karun
mahsus kar ke lutf-e-KHudai gahe gahe
sayyaad khol khol ke darwaza-e-qafas
parkhe hai mera shauq-e-rihai gahe gahe
main KHud hi chheD deta hun az-rah-e-rasm-o-rah
dil ki KHirad ke sath laDai gahe gahe
aashuftagi pe kitne girafta hain mere yar
dete hain mujh ko meri safai gahe gahe
ghaw to kab ke bhar gae pita hun 'adatan
do-chaar ghunT ek dawai gahe gahe
KHud bhi 'amar' bisat-e-taKHayyul pe ki dhamal
nok-e-qalam bhi KHub nachai gahe gahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.