taKHayyul ke kaman se yun suKHan ka tir nikla hai
taKHayyul ke kaman se yun suKHan ka tir nikla hai
Jarnail Singh Maan Afshar
MORE BYJarnail Singh Maan Afshar
taḳhayyul ke kamāñ se yuuñ suḳhan kā tiir niklā hai
ki merā she'r to patthar diloñ ko chiir niklā hai
vahī ik ḳhvāb-e-be-tā’bīr jo āñkhoñ meñ aayā thā
vo ban ke ashk in palkoñ se pur-tāsīr niklā hai
vo qissa 'ishq kā tahrīr hai dīvār par lekin
vujūd us kā haqīqat meñ pas-e-tā'mīr niklā hai
samajh jis ko rahe the ham faqat do chaar din kā ġham
vo aisā hijr hai jo mas.ala gambhīr niklā hai
yahāñ jo kar rahā thā tabsirā kirdār par mere
mire aate hī bechāra bilā-tāḳhīr niklā hai
dil-e-'afshār' par us ne ik aisā ism phūñkā hai
ki siine ke qafas se toḌ kar zanjīr niklā hai
taKHayyul ke kaman se yun suKHan ka tir nikla hai
ki mera she'r to patthar dilon ko chir nikla hai
wahi ek KHwab-e-be-ta’bir jo aankhon mein aaya tha
wo ban ke ashk in palkon se pur-tasir nikla hai
wo qissa 'ishq ka tahrir hai diwar par lekin
wujud us ka haqiqat mein pas-e-ta'mir nikla hai
samajh jis ko rahe the hum faqat do chaar din ka gham
wo aisa hijr hai jo masala gambhir nikla hai
yahan jo kar raha tha tabsira kirdar par mere
mere aate hi bechaara bila-taKHir nikla hai
dil-e-'afshaar' par us ne ek aisa ism phunka hai
ki sine ke qafas se toD kar zanjir nikla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.