Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talash-e-yar mein jaan se guzar ke dekhte hain

Aftab Ranjha

talash-e-yar mein jaan se guzar ke dekhte hain

Aftab Ranjha

MORE BYAftab Ranjha

    talāsh-e-yār meñ jaañ se guzar ke dekhte haiñ

    jo ḳhaak haiñ to zamīñ par bikhar ke dekhte haiñ

    vo kis ne dekhī hai gahrā.ī shām-e-furqat

    ufuq ke paar zamīñ par utar ke dekhte haiñ

    sunā hai us nigāheñ shikār kartī haiñ

    karishme ham bhī chalo fitna-gar ke dekhte haiñ

    agar gulāb un ko pasand aate haiñ

    to kyoñ na aaj se ham bhī sañvar ke dekhte haiñ

    ye kaun shaḳhs hai jaane kidhar se aaya hai

    dīvāne saare hameñ shahr-bhar ke dekhte haiñ

    ḳhudā unheñ to bure din kabhī na dikhlā.e

    vo hausle jo hamāre jigar ke dekhte haiñ

    hamārī āñkhoñ meñ chashme se phuuT paḌte haiñ

    kabhī kabhī vo hameñ aañkh bhar ke dekhte haiñ

    kaleja thaam ke rakhnā ai dost mahfil meñ

    vo kyā se kyā na sitam ham pe kar ke dekhte haiñ

    hamāre sar pe qayāmat TuuT paḌtī hai

    kabhī zamīñ se zarā ubhar ke dekhte haiñ

    talāsh-e-yār meñ rahtī hai merī tanhā.ī

    dayār-e-ġhair meñ kyā kyā na kar ke dekhte haiñ

    mirā aks hai mujh se ḳhafā ḳhafā 'barham'

    to kyoñ na us ke hāthoñ se mar ke dekhte haiñ

    talash-e-yar mein jaan se guzar ke dekhte hain

    jo KHak hain to zamin par bikhar ke dekhte hain

    wo kis ne dekhi hai gahrai sham-e-furqat ki

    ufuq ke par zamin par utar ke dekhte hain

    suna hai us ki nigahen shikar karti hain

    karishme hum bhi chalo fitna-gar ke dekhte hain

    agar gulab hi un ko pasand aate hain

    to kyon na aaj se hum bhi sanwar ke dekhte hain

    ye kaun shaKHs hai jaane kidhar se aaya hai

    diwane sare hamein shahr-bhar ke dekhte hain

    KHuda unhen to bure din kabhi na dikhlae

    wo hausle jo hamare jigar ke dekhte hain

    hamari aankhon mein chashme se phuT paDte hain

    kabhi kabhi wo hamein aankh bhar ke dekhte hain

    kaleja tham ke rakhna ai dost mahfil mein

    wo kya se kya na sitam hum pe kar ke dekhte hain

    hamare sar pe qayamat si TuT paDti hai

    kabhi zamin se zara sa ubhar ke dekhte hain

    talash-e-yar mein rahti hai meri tanhai

    dayar-e-ghair mein kya kya na kar ke dekhte hain

    mera hi aks hai mujh se KHafa KHafa 'barham'

    to kyon na us ke hi hathon se mar ke dekhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now