Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talash maine zindagi mein teri be-shumar ki

Imran Badayuni

talash maine zindagi mein teri be-shumar ki

Imran Badayuni

MORE BYImran Badayuni

    talāsh maiñ ne zindagī meñ terī be-shumār

    jo nahīñ milā to tujh shakl iḳhtiyār

    taqāza karne maut aa.ī tab mujhe pata lagā

    abhī talak maiñ le rahā thā saañs bhī udhār

    thī sard yaad havā maiñ dasht meñ thā maazī ke

    na pūchhiye janāb maiñ ne kaise raat paar

    tamām shab guzar ga.ī bas ek is umiid meñ

    palaT ke aa.egī sadā kabhī to is pukār

    ThiThur rahe haiñ kyuuñ bhalā ḳhudā ke to ham bhī haiñ

    chalo uThā ke oḌh leñ vo chādareñ mazār

    jalā diiñ maiñ ne zehn kitābeñ saarī is liye

    ki dāstān thī sabhī meñ us ke intizār

    bikhertī hai shab mujhe sameT letī hai sahar

    maiñ chāhtā huuñ ḳhatm ho ye jañg baar baar

    mujhe ġhurūr toḌnā thā mauj isī liye

    utar paḌā maiñ naav se badan se naddī paar

    talash main ne zindagi mein teri be-shumar ki

    jo tu nahin mila to tujh si shakl iKHtiyar ki

    taqaza karne maut aai tab mujhe pata laga

    abhi talak main le raha tha sans bhi udhaar ki

    thi sard yaad ki hawa main dasht mein tha mazi ke

    na puchhiye janab main ne kaise raat par ki

    tamam shab guzar gai bas ek is umid mein

    palaT ke aaegi sada kabhi to is pukar ki

    ThiThur rahe hain kyun bhala KHuda ke hi to hum bhi hain

    chalo uTha ke oDh len wo chadaren mazar ki

    jala din main ne zehn ki kitaben sari is liye

    ki dastan thi sabhi mein us ke intizar ki

    bikherti hai shab mujhe sameT leti hai sahar

    main chahta hun KHatm ho ye jang bar bar ki

    mujhe ghurur toDna tha mauj ka isi liye

    utar paDa main naw se badan se naddi par ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now