talatum-KHez maujon ko bhi jada kar liya maine
talātum-ḳhez maujoñ ko bhī jaada kar liyā maiñ ne
kināre par pahuñchne kā irāda kar liyā maiñ ne
tire baḳhshe hue ġham sah liye aañsū chhupā laayā
kabhī dil aur kabhī dāman kushāda kar liyā maiñ ne
tamāsha dekh lenā ḳhūn-e-dil āñkhoñ se chhalkegā
agar zabt-e-alam had se ziyāda kar liyā maiñ ne
bahut rangīn thā dil kā varaq ġham ke tasavvur se
magar ashkoñ se dho kar is ko saada kar liyā maiñ ne
sikhātā kaun jiine kī adā.eñ zindagānī ko
ḳhud apnī ḳhāmiyoñ se istifāda kar liyā maiñ ne
mirī tanhā-pasandī ko rifāqat kab gavāra thī
bichhaḌne kā irāda be-irāda kar liyā maiñ ne
'aqīl' ab muntazir baiThā huuñ tūfān-e-havādis kā
ki ḳhvāboñ kā mahal phir īstāda kar liyā maiñ ne
talatum-KHez maujon ko bhi jada kar liya main ne
kinare par pahunchne ka irada kar liya main ne
tere baKHshe hue gham sah liye aansu chhupa laya
kabhi dil aur kabhi daman kushada kar liya main ne
tamasha dekh lena KHun-e-dil aankhon se chhalkega
agar zabt-e-alam had se ziyaada kar liya main ne
bahut rangin tha dil ka waraq gham ke tasawwur se
magar ashkon se dho kar is ko sada kar liya main ne
sikhata kaun jine ki adaen zindagani ko
KHud apni KHamiyon se istifada kar liya main ne
meri tanha-pasandi ko rifaqat kab gawara thi
bichhaDne ka irada be-irada kar liya main ne
'aqil' ab muntazir baiTha hun tufan-e-hawadis ka
ki KHwabon ka mahal phir istada kar liya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.