tamam aks andheron mein kho gae jaise
tamām 'aks añdheroñ meñ kho ga.e jaise
ham apne aap meñ gumnām ho ga.e jaise
hamārī 'ādateñ ham ko kabhī na raas aa.iiñ
hameñ hamāre hunar hī Dubo ga.e jaise
vahī fazā vahī mausam magar tumhāre baġhair
tamām silsile ab bojh ho ga.e jaise
tumhāre baa'd zabāñ par na koī baat rahī
tumhāre baa'd sabhī lafz kho ga.e jaise
tamam 'aks andheron mein kho gae jaise
hum apne aap mein gumnam ho gae jaise
hamari 'adaten hum ko kabhi na ras aain
hamein hamare hunar hi Dubo gae jaise
wahi faza wahi mausam magar tumhaare baghair
tamam silsile ab bojh ho gae jaise
tumhaare ba'd zaban par na koi baat rahi
tumhaare ba'd sabhi lafz kho gae jaise
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 29)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.