Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam dard ho dil aur nazar gila na kare

Sarosh Lucknowi

tamam dard ho dil aur nazar gila na kare

Sarosh Lucknowi

MORE BYSarosh Lucknowi

    tamām dard ho dil aur nazar gila na kare

    kisī ġharīb pe yuuñ aa bane ḳhudā na kare

    hazār dard de aur ek davā na kare

    jo kuchh kisī nigāh-e-karishma-zā na kare

    vo dil ik na sune dil mirā kahā na kare

    paḌe kisī se kisī ġharaz ḳhudā na kare

    bigaḌ ke baiThe haiñ tyorī chaḌhī hai barham haiñ

    ki koī arz-e-tamannā hausla na kare

    na ban-sañvar ke har ik baar aa.ina dekho

    lage tumhīñ ko tumhārī nazar ḳhudā na kare

    shab-e-firāq ke taare ye kah ke Duub ga.e

    kisī koī mohabbat meñ aasrā na kare

    junūn-e-ishq ma.asūm hasrateñ tauba

    vo minnateñ kareñ dil arz-e-mudda.ā na kare

    dil aur terī mohabbat ke dukh are tauba

    ye ġham nasīb ho dushman ko bhī ḳhudā na kare

    nigāh-e-nāz ho jab aap silsila-jumbāñ

    to kaun hogā jo tajdīd-e-mudda.ā na kare

    tumhīñ kaho ki jo tum aas is tarah toḌo

    to kis umiid pe dil tark-e-mudda.ā na kare

    kisī ke va.ada-e-fardā sharm rah jaa.e

    ḳhudā kare ki mirī zindagī vafā na kare

    dil aur pahlī mohabbat choT are tauba

    ġham aur taaza judā.ī ġham ḳhudā na kare

    'sarosh' kitnā hasīñ hai ye maslak-e-‘hāfiz’

    gunāh laakh kare ek dil burā na kare

    tamam dard ho dil aur nazar gila na kare

    kisi gharib pe yun aa bane KHuda na kare

    hazar dard de aur ek ki dawa na kare

    jo kuchh kisi ki nigah-e-karishma-za na kare

    wo dil ki ek na sune dil mera kaha na kare

    paDe kisi se kisi ki gharaz KHuda na kare

    bigaD ke baiThe hain tyori chaDhi hai barham hain

    ki koi arz-e-tamanna ka hausla na kare

    na ban-sanwar ke har ek bar aaina dekho

    lage tumhin ko tumhaari nazar KHuda na kare

    shab-e-firaq ke tare ye kah ke Dub gae

    kisi ka koi mohabbat mein aasra na kare

    junun-e-ishq ki masum hasraten tauba

    wo minnaten karen dil arz-e-muddaa na kare

    dil aur teri mohabbat ke dukh are tauba

    ye gham nasib ho dushman ko bhi KHuda na kare

    nigah-e-naz ho jab aap silsila-jumban

    to kaun hoga jo tajdid-e-muddaa na kare

    tumhin kaho ki jo tum aas is tarah toDo

    to kis umid pe dil tark-e-muddaa na kare

    kisi ke wada-e-farda ki sharm rah jae

    KHuda kare ki meri zindagi wafa na kare

    dil aur pahli mohabbat ki choT are tauba

    gham aur taza judai ka gham KHuda na kare

    'sarosh' kitna hasin hai ye maslak-e-‘hafiz’

    gunah lakh kare ek dil bura na kare

    Source:

    Nawa-e-Sarosh (Pg. 396)

    • Author: Sarosh Lucknowi
      • Publisher: Masood Rudauli
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now