tamam jism ko gard-o-ghubar karte hue
tamām jism ko gard-o-ġhubār karte hue
maiñ ḳhaak ho gayā sahrā ko paar karte hue
tamām rāh-e-safar yuuñ to ḳhushnumā thī magar
bhar aa.ī aañkh tirā shahr paar karte hue
kināre par use phir kaun yaad rakhtā hai
jo Duub jaatā hai dariyā ko paar karte hue
tamam jism ko gard-o-ghubar karte hue
main KHak ho gaya sahra ko par karte hue
tamam rah-e-safar yun to KHushnuma thi magar
bhar aai aankh tera shahr par karte hue
kinare par use phir kaun yaad rakhta hai
jo Dub jata hai dariya ko par karte hue
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 97)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.