Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam lafz-o-ma’ani mein KHak uDti hai

Ameer Imam

tamam lafz-o-ma’ani mein KHak uDti hai

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    tamām lafz-o-ma’ānī meñ ḳhaak uḌtī hai

    hamārī sehr-bayānī meñ ḳhaak uḌtī hai

    havā ḳhamīr meñ shāmil hai merī ḳhaak ke saath

    to merī saarī kahānī meñ ḳhaak uḌtī hai

    gumāñ huā ye samundar ke pahre-dāroñ ko

    ki mauj-mauj ravānī meñ ḳhaak uḌtī hai

    aTā hai dhuul se kyūñkar bahār chehra

    sunā thā ahd-e-ḳhizānī meñ ḳhaak uḌtī hai

    badan ke manzar-e-avval meñ phuul khilte haiñ

    badan ke manzar-e-sānī meñ ḳhaak uḌtī hai

    tamam lafz-o-ma’ani mein KHak uDti hai

    hamari sehr-bayani mein KHak uDti hai

    hawa KHamir mein shamil hai meri KHak ke sath

    to meri sari kahani mein KHak uDti hai

    guman hua ye samundar ke pahre-daron ko

    ki mauj-mauj rawani mein KHak uDti hai

    aTa hai dhul se kyunkar bahaar ka chehra

    suna tha ahd-e-KHizani mein KHak uDti hai

    badan ke manzar-e-awwal mein phul khilte hain

    badan ke manzar-e-sani mein KHak uDti hai

    Source:

    Subh Bakhair Zindagi (Pg. 99)

    • Author: Ameer Imam
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now