Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam nusKHe badal chuka jab tab apni fitrat badal raha hun

Farhan Khan

tamam nusKHe badal chuka jab tab apni fitrat badal raha hun

Farhan Khan

MORE BYFarhan Khan

    tamām nusḳhe badal chukā jab tab apnī fitrat badal rahā huuñ

    mirī tabī'at ke haiñ muḳhālif maiñ aise sāñchoñ meñ Dhal rahā huuñ

    'amal register ke likhne vaale ye do farishte mujhe batā.eñ

    ye kaun sab kuchh chalā rahā hai maiñ kis marzī se chal rahā huuñ

    kabhī to ban kar ke abr-e-bārāñ maiñ pyāse logoñ meñ barastā

    magar maiñ apnī anā ḳhādim kueñ ke jaisā aTal rahā huuñ

    vo ik nazariye se dekhtā thā so ab nazariya badal gayā hai

    to us ko lagne lagā hai jaise maiñ rafta-rafta badal rahā huuñ

    muḳhālifat ḳhalish ne merī hayāt jab lā-‘ilāj kar

    jidhar ko duniyā Dhaal thī ab usī taraf maiñ phisal rahā huuñ

    mirī haqīqat pe thiiñ musallat vo saarī parteñ udhaḌ rahī haiñ

    mujhe ḳhabar bhī nahīñ thī yaaro maiñ ḳhud meñ jaisā nikal rahā huuñ

    nayā chalan hai ki hukmarānoñ ko bad-gumānī ye ho ga.ī hai

    ki ek adnā ġhulām huuñ maiñ aur un ke TukḌoñ pe pal rahā huuñ

    tamam nusKHe badal chuka jab tab apni fitrat badal raha hun

    meri tabi'at ke hain muKHalif main aise sanchon mein Dhal raha hun

    'amal register ke likhne wale ye do farishte mujhe bataen

    ye kaun sab kuchh chala raha hai main kis ki marzi se chal raha hun

    kabhi to ban kar ke abr-e-baran main pyase logon mein ja barasta

    magar main apni ana ka KHadim kuen ke jaisa aTal raha hun

    wo ek nazariye se dekhta tha so ab nazariya badal gaya hai

    to us ko lagne laga hai jaise main rafta-rafta badal raha hun

    muKHalifat ki KHalish ne meri hayat jab la-‘ilaj kar di

    jidhar ko duniya ki Dhaal thi ab usi taraf main phisal raha hun

    meri haqiqat pe thin musallat wo sari parten udhaD rahi hain

    mujhe KHabar bhi nahin thi yaro main KHud mein jaisa nikal raha hun

    naya chalan hai ki hukmaranon ko bad-gumani ye ho gai hai

    ki ek adna ghulam hun main aur un ke TukDon pe pal raha hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now