tamasha KHatm ho jaane ke thoDa baad aate ho
tamāshā ḳhatm ho jaane ke thoḌā baa'd aate ho
tabhī har bazm se tum bārhā nāshād aate ho
jahāñ par shaad rahnā hai vahāñ ġhamgīn rahte ho
jahāñ ġhamgīn honā hai vahāñ se shaad aate ho
kabhī tum mauj-e-dariyā kī tarah sairāb dikhte ho
kabhī tum ḳhushk hoñThoñ par liye fariyād aate ho
tumhāre hijr ke maare hue ġhamgīn to hoñge
tum apne hijr ke maare huoñ ko yaad aate ho
bahut din tak bhaTaktā huuñ akelā hī ḳhalāoñ meñ
magar phir tum achānak bar-sar-e-rūdād aate ho
haqīqat meñ mire ġham meñ izāfa kar ke jaate ho
bazāhir chārāgar tum bā'is-e-imdād aate ho
ye dīgar baat hai hañs kar nazar-andāz karte haiñ
hameñ tum yaad to aksar dil-e-barbād aate ho
tamasha KHatm ho jaane ke thoDa ba'd aate ho
tabhi har bazm se tum barha nashad aate ho
jahan par shad rahna hai wahan ghamgin rahte ho
jahan ghamgin hona hai wahan se shad aate ho
kabhi tum mauj-e-dariya ki tarah sairab dikhte ho
kabhi tum KHushk honThon par liye fariyaad aate ho
tumhaare hijr ke mare hue ghamgin to honge
tum apne hijr ke mare huon ko yaad aate ho
bahut din tak bhaTakta hun akela hi KHalaon mein
magar phir tum achanak bar-sar-e-rudad aate ho
haqiqat mein mere gham mein izafa kar ke jate ho
bazahir chaaragar tum ba'is-e-imdad aate ho
ye digar baat hai hans kar nazar-andaz karte hain
hamein tum yaad to aksar dil-e-barbaad aate ho
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 82)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.