tamanna KHud meri kuchh kam nahin hai
tamanna ḳhud mirī kuchh kam nahīñ hai
yahī 'ālam rahā to ġham nahīñ hai
vafāoñ se bhalā maiñ baaz aa.uuñ
mirā 'ālam tirā 'ālam nahīñ hai
sukūn-e-dil vahāñ miltā hai mujh ko
jahāñ koī sharīk-e-ġham nahīñ hai
haram kyā dair kyā kaisā kalīsā
junūñ kā sar kahīñ par ḳham nahīñ hai
hai sab kotāhī-e-chashm-e-tamanna
mohabbat is qadar mub.ham nahīñ hai
parastish-ḳhāna-e-ulfat hai duniyā
maqām-e-laġhzish-e-ādam nahīñ hai
mizāj-e-husn ko ilzām kyā duuñ
nizām-e-shauq mustahkam nahīñ hai
bharosa us kī rahmat par hai mujh ko
gunāh-e-zindagī kā ġham nahīñ hai
qafas un kā na gulshan un kā 'shādāñ'
vo jin ke bāzuoñ meñ dam nahīñ hai
tamanna KHud meri kuchh kam nahin hai
yahi 'alam raha to gham nahin hai
wafaon se bhala main baz aaun
mera 'alam tera 'alam nahin hai
sukun-e-dil wahan milta hai mujh ko
jahan koi sharik-e-gham nahin hai
haram kya dair kya kaisa kalisa
junun ka sar kahin par KHam nahin hai
hai sab kotahi-e-chashm-e-tamanna
mohabbat is qadar mubham nahin hai
parastish-KHana-e-ulfat hai duniya
maqam-e-laghzish-e-adam nahin hai
mizaj-e-husn ko ilzam kya dun
nizam-e-shauq mustahkam nahin hai
bharosa us ki rahmat par hai mujh ko
gunah-e-zindagi ka gham nahin hai
qafas un ka na gulshan un ka 'shadan'
wo jin ke bazuon mein dam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.